google.com, pub-2607375308869963, DIRECT, f08c47fec0942fa0 Best urdu poetry:

Header Ads Widget

Responsive Advertisement

Best urdu poetry:

We offer the best collection of Urdu poetry

related to "best Urdu poetry", "Love poetry in Urdu",

"Urdu poetry love" . we post 1 article behind is many

days struggle. we hope, you will like it and be entertained.




Best urdu poetry:

Kal ajab sanaha sa  howa rayt par

Naam tyra likh nahin saka rait par

Kis ki awaz say tham gay hain qadam

Phir say kis nay di sada rait par

Os ki aankhon say sholy niklty rahy

Nachti rah gae kal ghata rait par

To nay jo bhi hawa say kaha rah gia

Mit gia main nay job hi likha rait par

Main tumhin chomna chahta hon abhi

Us nay mujh say ya ayk din rait par

Ab ya sahra hi tyry moqadar main hain

To nay mangi hi keon thi dua rait par

Ayk shoal utha usi jaga say wasi

Myra aanso jahan gir gia rat par

 


 

Love poetry in urdu:

Kisi ki aankh say sapny chora kar kuch nahin milta

Mondyron say charaghon ko bojha kar kuch nahin milata



Hamari soch ki parwaz ko roky nahin koi

Nay aflaq pa pahry bytha kar kuch nahin milta

Koi ak adh sapna ho to phir  acha  bhi lagta hay

Hazaron khawab aankhon main saja kar  kuch  nahin milta

Sakon un ko nahin milta kabhi pardys ja kar bhi

Jinhin apny watan say dil laga kar kuch nahin milta

Usy kahna k palkon par na tanky khawab ki jhalar

Somandar k kinary ghar bana kar kuch nahin milta

Ya acha hay k aapas k bharam na totny pain

Kabhi bhi doston ko azma kar kuch nahin mitla

Na janay kon say jazby ki youn taskeen karta hay

Bazahir to tomhary khat jala kar kuch nahin milta

Faqat tom say hi karta hon main raz ki batin



Har ik ko dastan dil sona kar kuch nahin milta

Amal ki sokhti rag main zara sa khon shamil kar

Myry hamdam faqat batin bana kar kuch nahin milta

Usy main pyar karta hon to mujh ko chain ata hay

Wo kahta hay usy mujhko sata kar kuch nahin milta

Mujhy aksar sitaron say yahi awaz aati hy

Kisi k hijr main neendain ganwa kar kuch nahin milta

Jigr ho jay ga chalni ya aankhin khon roin geen

Wasi by faiz  logon say nibha kar kuch nahin milta 


 

Urdu poetry love:

Main hon aor tyra khyal hai aor chand rat hay

Dil dard say nidhal hay aor chand rat hay

Aankhon main  chubh gaeen tyree yadonki kirchian

Kandhon  pa gham ki shal hay aor chand rat hay

Dil tor k khamosh nazaron ka kia mila

Shabnam ka ya swal hay aor chand rat hy

Phir titilian c urny lagi dashty khawab main

Phir khawahish wisal hay aor chand rat hy

Kampus ki nahir par haytyra hath hath main

Mosom bhi lazawal hay aor chand rat hay

Har ik kali nay orh lia matmi libas

Har phool por malal hayaor chand rat hay

Myree to poor poor main khoshbo c bas gai

Us par tyra khayal hay  aor chand rat hy

Chalka sa par raha hy wasi wahshaton ka rang

Har cheez pa ziwal hay aor chand rat hy


 
                                          ******

Falaq pa chand k  haly bhi sog karty hain

Jo to nahin to ujaly bhi sog karty hain

Tomhary hath ki chori bhi byn  karti hay

Hamary hant k  taly bhi sog kary   hain

Nagar nagar main wo bikhry hain zol k manzar

Hamari roh k chaly bhi sog karty hain

Usy kaho k satam main kuch kami kardy

K zolm torny waly bhi  sog karty hain

Tom apny dokh pa akyly nahin ho afsordah

Tomhary chahny waly bhi sog karty hain

****





jub say tom bichry ho tab say
aadha chand agar dykhon to
myree ankhin bhar aati hain
(click on follow button If you want regular notification)

Post a Comment

0 Comments