“Tehzeeb Hafi poetry in urdu”
(Tyra chup rahna kia myry zahin main byth gia )
“Tehzeeb Hafi poetry in urdu” |
Tyra chup rahna kia myry zahin main byth gia
Itni awazin din tujhy k gala byth gia
Youn nahin hay k faqat main hi usy chahta hon
Jo bhi is pyr ki chaon main gia byth gia
Itna meetha tha wo gosy bhara lahja mat poch
Os nay jis ko bhi jany ka kaha byth gia
Apna larna bhi mohabat hay tomhain ilm nahin
Cheekhti tom rahi aor gala myra byth gia
Os ki marzi wo jisy pas bytha ly apny
Is pa kia larna falan myree jagah byh gia
Bat daryaon ki soraj ki na tyree hay yahan
Do qadam jo bhi myry sath chala byth gia
Bazmy janan main nishistin nahin hoty makhsos
Jo bhi ik bar jahan byth gia byth gia
*********
Such batain to tyre mohabat nay khod par
Tawaja dilaee hamari
To hamin chomta tha to ghar ja kar
Hum dair tak aaeena dykhty thy
Galy milna na milna tyree marzi hay lykin
گلے ملنا نا ملنا تیری مرضی ہے لیکن
Tyry chahry say lagta hay k tyra dil kar rah hay
تیرے چہرے سےلگتا ہے کہ تیرا دل کر رہا ہے
************
Bichar kar us ka dil lag bhi gia to kia lagy ga
Wo thak jay ga aor myry galy say lagy ga
Main mushkil say tomhary kam aaon ya na aaon
Mujhy aawaz dy lyna tomhain acha lagy ga
Main jis koshish say usy bhol jany main laga hon
Ziada bhi agar lag jay to hafta lagy ga
Bano Qudsia Quotes read "clic here"
******
Bata ay abry masawat keon nahin karta
Hamary ghar main barsat keon nahin karta
Mahazy ishq say kub kon bach k nikla hay
To bach gia hay to khyrat keon nahin karta
Wo jis ki chaon main pichly sal guzry hain
Wo pyr mujh say koi bat keon nahin karta
Wo jis k sath mainy kai din gozary hain
Wo myry sath basr rat keon nahin karta
Mujhy to jan say barh kar aziz ho gia hay
To myry sath koi hath keon nahin karta
“Tehzeeb Hafi poetry in urdu” |
*******
tojhy cho k bhi agar main hara nahin ho raha
tyry jeety jagty aor koi miry dil main hay
“Tehzeeb Hafi poetry in urdu” |
“Tehzeeb Hafi poetry in urdu” |
Fraib day kar tyra jism lot lon lykin
Main pait kat kar kashti nahin banaon ga
Myra naam badal dyna
Wo shakhs agar badla
٭٭٭٭Koi tomhara safar par gia to pochin gain
کوئی تمھارا سفر پر گیا تو پوچھیں گیں
K rail guzray to ham hath keon hilaty hain
کے ریل گزرےتو ہاتھ کیوں ہلاتے ہیں
٭٭٭٭Tyree khoshyon ka sabab yar koi aor hay na
Dosti mujh say aor pyar koi aor hay na
Ya ik bat samajhny main rat ho gaee
Main is say geet gia hon k maat ho gaee
Porany ishq sabhi bhony parin gay mujhy
K to naya hay magar sab say khobsorat hay
Tahzeeb hafi poetry in Urdu
0 Comments